Saturday, November 15, 2008

humein maar dala

aadmi to the hum bhi bade mastane
bas is tanhaai ne hume maar dala
pyaar ke khayal se hi yun ghabara gaye
ki ikraar ke intezar ne hi hume maar dala

ghum rahe the asmaan me pankh lagakar
dol rahi thi har daali hume dekh kar
pyaar bhari nazar se usne yun dekh liya
ki uski us adaa ne hume maar dala

pyaar jo diya usne hume apna salona
ke haath liye pesh kiya humne seena
muskurakar phir fuul ne hume yun dekha
ki pyaar ke us mausam ne hume maar dala

hosh aaye to panchii wo ud chuka tha
jaag gaye to samjha wo ek sapna tha
dil hi ne dil ko humare yun tadapa dala
bas is tanhayee ne hume maar dala

na tha asmaan na tha koi panchi
na dikh raha tha ped na koi daali
mara na tha koi na kisine maara tha
apne hi khel me mai kho gaya tha
mere sivaa aur yaha, khel hi kaun raha tha?


(P.S. I actually dont remember fully writing this, but it is in my records. So for clarity's sake, I wont take credit for writing, only for being a messenger. :D)

No comments: